zindagi ek KHwab hai ye KHwab ki tabir hai
halqa-e-gesu-e-duniya panw ki zanjir hai
kuchh nahin is ke siwa mere tasarruf mein yahan
dil ka bas jitna ilaqa dard ki jagir hai
putliyan aankhon ki sakit ho gain paDhte hue
aasman par kis zaban mein jaane kya tahrir hai
mujh ko goyai pe uksaya tha dil ne ek bar
aaj tak honTon pe qaem lazzat-e-taqrir hai
ab na jaane kis taraf le jaen wahshi aandhiyan
shaKH se TuTa hua patta bahut dil-gir hai
sab bahadur hain yahan zikr-e-ajal hone talak
buz-dili is ko kahun ya KHun ki tasir hai

Ghazal
Zindagi ek KHwab hai ye KHwab ki tabir hai
Obaidullah Siddiqui