اردو हिंदी
Zindagi husn se tabir bhi ho sakti thi | Shaahi Shayari
zindagi husn se tabir bhi ho sakti thi

Ghazal

Zindagi husn se tabir bhi ho sakti thi

Rahil Bukhari

;

zindagi husn se tabir bhi ho sakti thi
chandni dasht pe tahrir bhi ho sakti thi

be-bas jada-e-pur-KHar pe lai mujh ko
bebasi panw ki zanjir bhi ho sakti thi

ek aawaz-e-tilismat mein Dubi aawaz
aisi aawaz ki taswir bhi ho sakti thi

ek saya pas-e-diwar bhi lahraata tha
sansani itni hama-gir bhi ho sakti thi

bhagte bhagte sab rang sameTe hum ne
waqt ka pher hai taKHir bhi ho sakti thi