zindagi hansti hai subh-o-sham tere shahr mein
aam hai daur-e-mai-e-gulfam tere shahr mein
kis qadar mashhur hain wo log jo hain bul-hawas
aur ek hum hain ki hain badnam tere shahr mein
koi saudai koi kahta hai diwana mujhe
roz milta hai naya ek nam tere shahr mein
hum junun-e-ishq ke ba-wasf bhi hoshyar hain
subh tere shahr mein hain sham tere shahr mein
zindagi mujh ko mile ya maut ka ho samna
jo bhi hona hai wo ho anjam tere shahr mein
kar-farma teri nazren hukmaran tera jamal
kanpti hai gardish-e-ayyam tere shahr mein
har taraf aish-o-masarrat har taraf mauj-e-'shamim'
lutf-saman zindagi hai aam tere shahr mein
Ghazal
Zindagi hansti hai subh-o-sham tere shahr mein
Shamim Fatehpuri