zindagi go kushta-e-alam hai
phir bhi rahat ki ummid-e-KHam hai
han abhi teri mohabbat KHam hai
tere dil mein kawish-e-anjam hai
ishq hai main hun dil-e-nakaam hai
is ke aage bas KHuda ka nam hai
aa kahan hai tu fareb-e-arzu
aaj nakaami se lena kaam hai
main wahi hun dil wahi arman wahi
ek dhoka gardish-e-ayyam hai
apne ji mein ye ki duniya chhoD den
aur duniya ko hamin se kaam hai
jal chuke chashm-e-aizza mein charagh
so bhi ja 'mulla' ki waqt-e-sham hai
Ghazal
Zindagi go kushta-e-alam hai
Anand Narayan Mulla