zindagi ghamgin hoti ja rahi hai
aarzu rangin hoti ja rahi hai
chand tare aasmanon mein Tange hain
raat ki tazin hoti ja rahi hai
zulm phir parwan chaDhta ja raha hai
zabt ki tauhin hoti ja rahi hai
samt-e-mashriq dekhta hun main ujala
raat ki takfin hoti ja rahi hai
shadman sa hai 'nizami' aaj-kal wo
ruh ki taskin hoti ja rahi hai
Ghazal
Zindagi ghamgin hoti ja rahi hai
Hasan Nizami