zindagi gham ki aanch sah koi
yun jali yun bujhi ki dhul hui
hum ne bhi jashn-e-gul ko dekha tha
aaj tak sochte hain bhul hui
kya karen apni is tabiat ko
aap se mil ke bhi malul hui
husn-e-shirin raha shikar-e-hawas
jehd-e-farhad be-husul hui
hum hain wo kushtagan-e-shauq jinhen
sohbat-e-dar bhi qubul hui
le sambhal zulmaton ke rakhwale
apna ab raushni usul hui
kis ko hansta mila chaman mein 'riyaz'
ghunchagi kis ki khil ke phul hui
Ghazal
Zindagi gham ki aanch sah koi
Ahmad Riyaz