zindagi gham ke andheron mein sanwarne se rahi
ek tanwir-e-hayat aaj ubharne se rahi
main payambar nahin insan hun KHata-kar insan
arsh se koi wahi mujh par utarne se rahi
main ne kar rakkha hai mahsur chaman ki had tak
shaKH-dar-shaKH koi barq guzarne se rahi
lakh afkar-o-hawadis mujhe raunden baDh kar
jo wafa mujh ko mili hai kabhi marne se rahi
aadmi kitne hayule hi bana kar rakkhe
maut phir maut hai jab aai to Darne se rahi
aaKHiri waqt hai muKHtal hue jate hain hawas
aise mein meri KHudi kaam to karne se rahi
gher rakkha hai har ek samt se tufanon ne
meri kashti to kabhi par utarne se rahi
'sadiq' us moD pe le aate hain haalat hamein
mauj-e-ehsas zara aaj Thaharne se rahi
Ghazal
Zindagi gham ke andheron mein sanwarne se rahi
Sadique Indori