zindagi dekh le kuchh der tamasha apna
TuTta jata hai aawaz se rishta apna
do-ghaDi ko bhi kisi ne mujhe kandha na diya
umr-bhar Dhota raha KHud hi janaza apna
nasb har shaKHs nazar aata hai chaurahe par
aadmi bhul gaya bhiD mein rasta apna
kitni sadiyon se hun anjaan safar mein 'saifi'
aaj tak main ne to ghar bhi nahin dekha apna
Ghazal
Zindagi dekh le kuchh der tamasha apna
Muneer Saifi

