zindagi dast-e-tah-e-sang rahi hai barson
ye zamin hum pe bahut tang rahi hai barson
tum ko pane ke liye tum ko bhulane ke liye
dil mein aur aql mein ek jang rahi hai barson
apne honTon ki dahakti hui surKHi bhar do
dastan ishq ki be-rang rahi hai barson
dil ne ek chashm-e-zadan mein hi kiya hai wo kaam
jis pe duniya-e-KHirad dang rahi hai barson
kis ko malum nahin waqt ke dil ki dhaDkan
meri hamraaz-o-ham-ahang rahi hai barson
saf tariKH ye kahti hai ki mansuri se
muzmahil satwat-e-aurang rahi hai barson
meri hi aabla-pai ki badaulat 'aKHtar'
rah-guzar un ki shafaq-rang rahi hai barson
Ghazal
Zindagi dast-e-tah-e-sang rahi hai barson
Wakil Akhtar