zindagi dard bhi dawa bhi thi
ham-safar bhi gurez-pa bhi thi
kuchh to the dost bhi wafa-dushman
kuchh meri aankh mein haya bhi thi
din ka apna bhi shor tha lekin
shab ki aawaz be-sada bhi thi
ishq ne hum ko ghaib-dan kiya
yahi tohfa yahi saza bhi thi
gard-baad-e-wafa se pahle tak
sar pe KHema bhi tha rida bhi thi
man ki aankhen charagh thin jis mein
mere ham-rah wo dua bhi thi
kuchh to thi rahguzar mein sham-etalab
aur kuchh tez wo hawa bhi thi
bewafa to wo KHair tha 'amjad'
lekin us mein kahin wafa bhi thi
Ghazal
Zindagi dard bhi dawa bhi thi
Amjad Islam Amjad