zindagi bhar to sada jabr sahe sabr kiye
maut ke baad mujhe kya jo meri qabr jiye
kholte lawe ke manind ubalta hai dimagh
jab ye haalat ho to kab tak koi honTon ko siye
jism zaKHmi ho to sina bhi use mumkin hai
ruh par zaKHm lage hon to unhen kaun siye
rah-rau rah mein kiDon ki tarah rengte rahen
rahbar unchi hawaon mein hain palkon ko siye
wo agar chahen to taqdir badal sakti hai
par nahin un ko gharaz koi mare koi jiye
raushni dur bahut dur hai phir bhi hum se
jagmagate hain ufuq-ta-ba-ufuq lakhon diye
kaise zinda hun abhi tak nahin samjha KHud bhi
zaKHm khae hain bahut main ne bahut zahr piye
Ghazal
Zindagi bhar to sada jabr sahe sabr kiye
Khwaja Mohammad Zakariya