zindagi bhar jinhon ne dekhe KHwab
un ko baKHshe gae hain phir se KHwab
din andhera dikhai deta hai
raat dekhe the jagmagate KHwab
us ne aise bhula diya hai mujhe
yaad rahte nahin hain jaise KHwab
raat ki baKHshishen to thin mujh par
roz-e-raushan ne bhi dikhae KHwab
jin ki tabir hi nahin koi
main ne dekhe hain akasr aise KHwab
dil ka har zaKHm ho gaya taza
aa gae yaad bhule-bisre KHwab
ishq ki ye alamaten to nahin
dil hai bechain aankh hai be-KHwab
mashghala hai mera ye ai 'abid'
dekhna nit-nae sunahre KHwab
Ghazal
Zindagi bhar jinhon ne dekhe KHwab
Abid Munavari