zindagi bhar hum lab-e-dariya rahe
aur sarabon ki tarah tishna rahe
meri tariki se ghar kyun ho siyah
aankhen bujh jaen diya jalta rahe
ban gae har ahd ke dil ki umang
zinda log is tarah bhi zinda rahe
zulm dekho qasr-e-ishrat hum banaen
aur hamin par band darwaza rahe
jagti aankhon se kya aae nazar
aadmi ka zehn agar soya rahe
'mahshar' is taron ki duniya mein mudam
chand ki manind hum tanha rahe
Ghazal
Zindagi bhar hum lab-e-dariya rahe
Mahshar Badayuni