zindagi be-saeban be-ghar kahin aisi na thi
aasman aisa nahin tha aur zamin aisi na thi
hum bichhaDne se hue gumrah warna is se qabl
mera daman tar na tha teri jabin aisi na thi
ab jo badla hai to apni ruh tak hairan hun
teri jaanib se main shayad be-yaqin aisi na thi
bad-gumani jab na thi tu bhi nahin tha mo'tariz
main bhi teri shaKHsiyat par nukta-chin aisi na thi
kya mere dil aur kya aankhon ka hissa hai magar
chadar-e-shab is se pahle shabnamin aisi na thi
kya hawa aai ki itne phul dil mein khil gae
pichhle mausam mein ye shaKH-e-yasmin aisi na thi
Ghazal
Zindagi be-saeban be-ghar kahin aisi na thi
Parveen Shakir