zindagi bach nikalti hai har jang mein waqt ke war se
phir Tapakta hai ek bar lamhon ka KHun sans ki dhaar se
kitne shahron ki aaludgi ko hawa ne ikaTTha kiya
aur marne pe aae to hum mar gae gul ki mahkar se
dard wale to iman le aaen hain lafz par sahibo!
lafz kya shai hai puchho ye fankar se ya aza-dar se
Dubte waqt manjhi se dariya ne ba-dida-e-nam kaha
koi kashti kinare lagi hai kabhi ek patwar se!
dil yahi chahta tha 'shanawar' sitaron ka munh noch lun!
shahr ko main ne dekha tha ek raat masjid ke minar se
Ghazal
Zindagi bach nikalti hai har jang mein waqt ke war se
Shanawar Ishaq