zindagi aur maut ka yun rabta rah jaega
maqtalon ko jaane wala rasta rah jaega
KHushk ho jaengi aankhen aur chhaT jaega abr
zaKHm-e-dil waise ka waisa aur hara rah jaega
bujh chuki hongi tumhaare ghar ki sari mishalen
aur to logon mein shamen banTta rah jaega
mujh se le jaega ek ek chiz wo jate hue
lekin is ka nam aankhon mein likha rah jaega
phul mein maujud rahne se hai KHushbu ka waqar
phul mein KHushbu nahin hogi to kya rah jaega
yaadgar-e-ishq aisi chhoD jaunga 'sarosh'
husn hairani se mujh ko dekhta rah jaega
Ghazal
Zindagi aur maut ka yun rabta rah jaega
Shakeel Sarosh