zindagi apni qarine se basar hoti nahin
muKHtasar karta hun lekin muKHtasar hoti nahin
de gaya tarikiyan itni wo ahl-e-shahr ko
sar pe suraj aa gaya phir bhi sahar hoti nahin
pahle apne sath chalte the sitare shauq se
ab to apni raushni bhi ham-safar hoti nahin
is tarah chup-chap mere pas aa jate hain log
ghar ke darwaze ki chaukhaT ko KHabar hoti nahin
Ghazal
Zindagi apni qarine se basar hoti nahin
Anjum Niyazi