zindagi apna safar tai to karegi lekin
ham-safar aap jo hote to maza aur hi tha
kaba o dair mein ab DhunD rahi hai duniya
jo dil o jaan mein basta tha KHuda aur hi tha
ab ye aalam hai ki daulat ka nasha tari hai
jo kabhi ishq ne baKHsha tha nasha aur hi tha
dur se yunhi laga tha ki bahut duri hai
jab qarib aae to jaana ki gila aur hi tha
mere dil ne to tujhe aur hi dastak di thi
tu ne ai jaan jo samjha jo suna aur hi tha
Ghazal
Zindagi apna safar tai to karegi lekin
Ameeta Parsuram ‘Meeta’