اردو हिंदी
Zindagi aise gharon se to khanDar achchhe the | Shaahi Shayari
zindagi aise gharon se to khanDar achchhe the

Ghazal

Zindagi aise gharon se to khanDar achchhe the

Zubair Rizvi

;

zindagi aise gharon se to khanDar achchhe the
jin ki diwar hi achchhi thi na dar achchhe the

un ki jannat mein rahe hum to ye ehsas hua
apne viranon mein hum KHak-basar achchhe the

band thi hum pe wahi rah-e-gulistan ki jahan
saya karte hue do-ruya shajar achchhe the

umr ki andhi guphaon ka safar lamba tha
wo to kahiye ki rafiqan-e-safar achchhe the

kahin sahra kahin jangal to kahin dariya the
mere hisse ki zamin tere safar achchhe the

sair-e-duniya se jo lauTe to ye jaana hum ne
shahr-e-'ghaalib' tere KHuban-e-nazar achchhe the