zindagi ab is qadar saffak ho jaegi kya
bhuk hi mazdur ki KHurak ho jaegi kya
mere qatil se koi ai kash itna puchh le
ye zamin mere lahu se pak ho jaegi kya
har taraf uryan-tani ke jashn honge roz o shab
is qadar tahzib-e-nau bebak ho jaegi kya
baDh gaya saya agar qad se to baDhne dijiye
KHak uD kar hamsar-e-aflak ho jaegi kya
qaid-e-hasti se ba-mushkil ho saka tha main riha
meri miTTi kasa-gar ka chaak ho jaegi kya
sari duniya Dhal rahi hai maghribi tahzib mein
be-hayai ab meri poshak ho jaegi kya
waqai dariya-e-gham ke tez dhaaron mein 'raza'
zindagi meri KHas-o-KHashak ho jaegi kya
Ghazal
Zindagi ab is qadar saffak ho jaegi kya
Raza Mauranvi