zindagi aazar thi aazar hai tere baghair
kar-e-sahl-e-marg bhi dushwar hai tere baghair
kaam yun aa kar ruke jaise kabhi chalte na the
umr-e-fani waqt-e-be-raftar hai tere baghair
kya bataun kis tarah ab kaT rahi hai zindagi
meri har har sans ek talwar hai tere baghair
tera gham tha aur tujh hi se bayan karta tha main
kaun sa gham qabil-e-izhaar hai tere baghair
mere gham ki talKHiyon ka is se kuchh andaza kar
mujh ko mai-noshi se bhi inkar hai tere baghair
Ghazal
Zindagi aazar thi aazar hai tere baghair
Zulfiqar Ali Bukhari