zindagi aa tera arman badal kar dekhen
dil mein hai jo mere mehman badal kar dekhen
sham-e-ummid ke manind mila hai koi
hijr ki dhup ka unwan badal kar dekhen
us ne baKHsha hamein eazaz shanasai ka
kyun na hum apni hi pahchan badal kar dekhen
meri aankhon mein nae rang ubhar aae hain
sain ghar ka sar-o-saman badal kar dekhen
aql gul KHud ko hai samjhe hue jo KHak-nashin
us ke dil ka ye kabhi man badal kar dekhen
dosh dete hain har ek baat pe haalat ko jo
apne andar ka wo insan badal kar dekhen
fan ki duniya mein nai subh ka suraj bo kar
aao hum apna gulistan badal kar dekhen
hum ujala hain ujalon se mohabbat hai hamein
fann-e-taKHliq teri shan badal kar dekhen
zehn ki jhil mein khil uTTha mohabbat ka kanwal
dil mein jo gham ka hai tufan badal kar dekhen
'rumi' puja wo mukammal nahin hone deta
man ke andar hai jo bhagwan badal kar dekhen
Ghazal
Zindagi aa tera arman badal kar dekhen
Rumana Rumi