zindagani wo mo'atabar hogi
jo mohabbat ke nam par hogi
hogi phulon ki manzilat malum
umr kanTon mein jab basar hogi
dil rahega to KHun-e-dil hoga
ashk honge to chashm tar hogi
jo tujhe dekh ke palaT aae
wo nazar bhi koi nazar hogi
raat to din ki ek alamat hai
raat hogi to ek sahar hogi
raat-bhar hum jalenge furqat mein
raushni aaj raat-bhar hogi
bekali ka guman 'atash' tha magar
ye na samjha tha is qadar hoga
Ghazal
Zindagani wo moatabar hogi
Khvaja riyazuddin atash