اردو हिंदी
Zindagani ka ye pahlu kuchh zarifana bhi hai | Shaahi Shayari
zindagani ka ye pahlu kuchh zarifana bhi hai

Ghazal

Zindagani ka ye pahlu kuchh zarifana bhi hai

Sahir Siyalkoti

;

zindagani ka ye pahlu kuchh zarifana bhi hai
yani us ki har haqiqat ek afsana bhi hai

tum jise jaisa bana dete ho ban jata hai wo
fitratan har aadmi aaqil bhi diwana bhi hai

ranj hi akasr hua karta hai rahat ka nishan
jis jagah tum dam dekhoge wahan dana bhi hai

wa-e-qismat ek hamin mahrum is fan se rahe
apne matlab ke liye hushyar diwana bhi hai

waqat-e-mai-KHana bhi apni jagah kuchh kam nahin
qabil-e-tazim go kaba bhi but-KHana bhi hai

dil ki fitrat ishq-o-ulfat hi main ai 'sahir' khuli
ye wo kafir hai ki apna ho ke begana bhi hai