zindagani ka koi bab samajh lo laDki 
bhul hi jao mujhe KHwab samajh lo laDki 
ishq karne ki hai KHwahish ye main samjha lekin 
tum mere jism ke aadab samajh lo laDki 
wasl ki raat wo main ne jise tamir kiya 
hasrat-e-ishq ki mehrab samajh lo laDki 
tum ne barsat ke mausam mein jise dekha tha 
wo hai sukha hua talab samajh lo laDki 
ishq insan mein aurat ko jaga deta hai 
log ho jate hain shadab samajh lo laDki 
meri banjar hui aankhon pe yaqin mat karna 
ye bhi la sakti hain sailab samajh lo laDki 
aaj kal tum jo ye mahsus kiya karti ho 
tajraba hai koi nayab samajh lo laDki 
ye jo diwan mere nam se chhap kar aaya 
tum ise zehn ka KHunab samajh lo laDki
        Ghazal
Zindagani ka koi bab samajh lo laDki
Tripurari

