zindagani jawedani bhi nahin
lekin is ka koi sani bhi nahin
hai sawa-neze pe suraj ka alam
tere gham ki saebani bhi nahin
manzilen hi manzilen hain har taraf
raste ki ek nishani bhi nahin
aaine ki aankh mein ab ke baras
koi aks-e-mehrbani bhi nahin
aankh bhi apni sarab-alud hai
aur is dariya mein pani bhi nahin
juz tahayyur gard-baad-e-zist mein
koi manzar ghair-fani bhi nahin
dard ko dilkash banaen kis tarah
dastan-e-gham kahani bhi nahin
yun luTa hai gulshan-e-wahm-o-guman
koi KHar-e-bad-gumani bhi nahin
Ghazal
Zindagani jawedani bhi nahin
Amjad Islam Amjad