اردو हिंदी
Zindagani hans ke tai apna safar kar jaegi | Shaahi Shayari
zindagani hans ke tai apna safar kar jaegi

Ghazal

Zindagani hans ke tai apna safar kar jaegi

Saba Ikram

;

zindagani hans ke tai apna safar kar jaegi
yun ajal ka moajiza ek roz sar kar jaegi

kya KHabar thi chah us ki dil mein ghar kar jaegi
mujh ko KHud mere hi andar dar-ba-dar kar jaegi

pahle apna KHun to bhar dun zindagi ki mang mein
jab use jaana hi Thahra ban sanwar kar jaegi

phul le jaegi sare toD kar KHwabon ke wo
meri shaKH-e-zindagi ko be-samar kar jaegi

aaegi ek roz wo shab ki siyahi oDh kar
meri subh-e-zist ko raushan sahar kar jaegi

rok lo is dard ki dewi se hain sab raunaqen
ye gai gar ruTh kar dil ko khanDar kar jaegi

log kahte hain ki wo laDki saliqa-mand hai
aa gai is ghar mein to is ghar ko ghar kar jaegi