اردو हिंदी
Zindan-nasib hun mere qabu mein sar nahin | Shaahi Shayari
zindan-nasib hun mere qabu mein sar nahin

Ghazal

Zindan-nasib hun mere qabu mein sar nahin

Iqbal Suhail

;

zindan-nasib hun mere qabu mein sar nahin
mera sujud un ke liye mo'atabar nahin

kya hai fareb nargas-e-ghammaz agar nahin
be-wajh tu kashakash-e-qalb-o-jigar nahin

taqsim-e-gul pe bahs anadil mein chhiD gai
gulzar luT raha hai kuchh us ki KHabar nahin

lazzat-shanas-e-gham ko hai izhaar-e-gham haram
rota hun aur daman-e-mizhgan bhi tar nahin

mere sujud-e-shauq se ho jae be-niyaz
itna buland hausla-e-sang-e-dar nahin

yun baghban ne himmat-e-parwaz chhin li
aisi bhari bahaar hai aur ek par nahin

tahsin-e-na-shanas ka bhuka nahin 'suhail'
main aabru-farosh-e-mata-e-hunar nahin