اردو हिंदी
Zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun | Shaahi Shayari
zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun

Ghazal

Zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun

Akbar Hyderabadi

;

zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun
ek gardish-e-mudam mein tu bhi hai main bhi hun

be-farsh-o-baam silsila-e-kaenat ke
is be-sutun nizam mein tu bhi hai main bhi hun

be-sal-o-sin zamanon mein phaile hue hain hum
be-rang-o-nasl nam mein tu bhi hai main bhi hun

is daimi hisar mein hum ko mafar kahan
zarron ke azhdaham mein tu bhi hai main bhi hun

har tirah-fam subh ka wirsa hai mushtarak
har nur-dida sham mein tu bhi hai main bhi hun