zindan-e-kaenat mein mahsur kar diya
mahfil se apni tum ne bahut dur kar diya
aate ho dene dawat-e-dar-o-rasan hamein
jab hum ne tark-e-shewa-e-mansur kar diya
fitrat yahi azal se hai barq-e-jamal ki
us ne jise tabah kiya tur kar diya
tum ne hamare zarf-e-nazar par na ki nigah
sare jahan ko husn se mamur kar diya
'simab' koi martaba mansur ka na tha
lafz-e-KHudi ki sharh na mashhur kar diya
Ghazal
Zindan-e-kaenat mein mahsur kar diya
Seemab Akbarabadi