اردو हिंदी
Zinda rahne ka bharam aa ke kahan par TuTa | Shaahi Shayari
zinda rahne ka bharam aa ke kahan par TuTa

Ghazal

Zinda rahne ka bharam aa ke kahan par TuTa

Kaleem Haider Sharar

;

zinda rahne ka bharam aa ke kahan par TuTa
ek sitara sa meri shah-rag-e-jaan par TuTa

ghair-mumkin hai meri KHak uData koi
main ki KHud apni tabahi ke nishan par TuTa

sud-dar-sud murawwat meri kaam aai hai
jab main iKHlas ki mizan-e-ziyan par TuTa

zahr sa phail chuka hai meri shiryanon mein
kaun sa harf meri nok-e-zaban par TuTa

siskiyan bhar ke 'sharar' kaun wahan rota tha
KHema-e-KHwab sar-e-sham jahan par TuTa