zinda rahna hai to sanson ka ziyan aur sahi
raushni ke liye thoDa sa dhuan aur sahi
subh ki shart pe manzur hain raaten hum ko
phul khilte hon to kuchh roz KHizan aur sahi
KHwab tabir ka hissa hai to so kar dekhen
sach ke idrak mein ek shahr-e-guman aur sahi
wo barush aur main rota hun qalam se apne
dard to ek hain donon ke zaban aur sahi
kaT gae apni hi miTTi se to jaldi kya hai
ab zamin aur sahi aur makan aur sahi
Ghazal
Zinda rahna hai to sanson ka ziyan aur sahi
Shakeel Azmi

