اردو हिंदी
Zinda rahe to hum ko na pahchan di gai | Shaahi Shayari
zinda rahe to hum ko na pahchan di gai

Ghazal

Zinda rahe to hum ko na pahchan di gai

Shmashad shad

;

zinda rahe to hum ko na pahchan di gai
marne ke baad KHub pazirai ki gai

kya kya sitam hue hain mere sath barha
dhoke se kitni bar meri jaan li gai

sine se mere noch li taswir-e-yar bhi
shiryan-e-zindagi hi meri kaT di gai

tanhaiyon mein main teri yaadon ke sath tha
mahfil saji to yaadon se wabastagi gai

is la-dawa maraz ka asar puchhte ho kya
dil ne diya na sath to tanhai bhi gai

dariya masarraton ka to ab sukh hi gaya
KHun-e-jigar piya to meri tishnagi gai

deta jawab kya main takallum ka yar ke
us ki nigah-e-naz mere honT si gai

arbab-e-ilm-o-fan ki tawajjoh hui to 'shad'
mahfil mein tere fan ko bhi pahchan di gai