zinda hun yun ki bas mein meri KHud-kushi nahin
aaKHir ye aur kya hai agar bebasi nahin
wo dil diya nasib ne jis mein KHushi nahin
ek chiz to mili hai magar kaam ki nahin
han ai shab-e-firaq tujhe jaanta hun main
tu subh tak rahi to meri zindagi nahin
hargiz fareb-e-rang-e-masarrat na khaiye
ye gham ka nam hai ye haqiqi KHushi nahin
duniya ki zinaton mein nahin koi bhi kami
lekin meri nazar mein wo dil-bastagi nahin
arman bhi wahin hain tamanna bhi hai wahi
jis dil se thi ye garmi-e-mahfil wahi nahin
hansne mein bhi nihan hain yahan nala-ha-e-dard
pamal rasm-e-ijz meri bandagi nahin
ummid hai jawab-e-gham-e-arzu magar
wo kya kare jise koi ummid hi nahin
wade ne tere sare irade badal diye
haalanki dard-e-dil mein zara bhi kami nahin
main hun ki mujh se sara zamana KHilaf hai
haalanki jurm-e-ishq se koi bari nahin
ibrat-faza hai ahl-e-zamana ke waste
'shaukat' wo dastan jo kisi ne suni nahin
Ghazal
Zinda hun yun ki bas mein meri KHud-kushi nahin
Shaukat Thanvi