zinda hua hai aaj tu marne ke baad bhi
aaya hai pas baDh utarne ke baad bhi
kin paniyon ki or mujhe pyas le chali
nile samundaron mein utarne ke baad bhi
nangi haqiqaton se paDa wasta hamein
shishon se aks aks guzarne ke baad bhi
kali ruton ke KHauf ne jine nahin diya
dariya se mauj mauj ubharne ke baad bhi
har lamha zindagi ko naya rup chahiye
ek bojh ban gai hai sanwarne ke baad bhi
aankhon mein meri jagti raaton ka karb hai
har zaKHm teri yaad ka bharne ke baad bhi
Ghazal
Zinda hua hai aaj tu marne ke baad bhi
Syed Arif