zinda ho jata hun main jab yar ka aata hai KHat
ruh-e-taza murda-dil ke waste lata hai KHat
tahniyat-nama nahin ye ai mere paighambar
us se kahna ashk-e-KHun se surKH ho jata hai KHat
sar-zamin-e-qaf par hai fauj-e-zangi ka hujum
ye saman tere ruKH-e-anwar pe dikhlata hai KHat
dhamkiyan tahrir hon ya zulm ka mazmun ho
phir ye mere dil ko ai dildar bahlata hai KHat
de ke KHat qasid se wapas kar liya ye kah ke hae
us ko hoti hai tasalli jab mera jata hai KHat
haalat-e-girya mein nama-bar ki kuchh hajat nahin
ashk ke sailab mein bahta hua jata hai KHat
kya shab-e-furqat ki teri be-qarari darj hai
nama-bar ko kyun tera ai 'barq' taDpata hai KHat
Ghazal
Zinda ho jata hun main jab yar ka aata hai KHat
Shyam Sunder Lal Barq