zinda hain mere KHwab ye kab yaad hai mujh ko
han tark-e-mohabbat ka sabab yaad hai mujh ko
tafsil-e-inayat to ab yaad nahin hai
par pahli mulaqat ki shab yaad hai mujh ko
KHushbu ki rifaqat ka nasha TuT raha hai
lekin wo safar dad-talab yaad hai mujh ko
ab sham ke hathon jo giraftar hai suraj
dopahar mein tha qahr-o-ghazab yaad hai mujh ko
aiwan meri ruh ke raushan kiye jis ne
wo shoKHi-e-yak-jumbish-e-lab yaad hai mujh ko
kuchh din se muqayyad hun main virana-e-jaan mein
haalanki koi shahr-e-tarab yaad hai mujh ko
kyun yaad dilate ho mujhe chandni raaten
paiman-e-wafa tum se hai sab yaad hai mujh ko
wo shaKHs 'KHayal' aaj jo ru-posh hai mujh mein
the us mein kamalat ajab yaad hai mujh ko
Ghazal
Zinda hain mere KHwab ye kab yaad hai mujhko
Rafique Khayal