zinda bhi KHalq mein hun mara bhi hua hun main
hun muKHtalif bhi is mein phansa bhi hua hun main
jo ahl-e-shahr ko kisi surat nahin hai ras
aisi yahan pe aab-o-hawa bhi hua hun main
aazurda kyun hain ab mere shewan pe ahl-e-bagh
kuchh din yahan pe naghma-sara bhi hua hun main
in barishon ki mujh ko tamanna bhi thi bahut
diwar se zara sa miTa bhi hua hun main
rahta hun dur us ke dil-e-narm se magar
patthar ki tarah is mein juDa bhi hua hun main
zinda hun phir bhi ek umid-e-bahaar par
patta hun aur shajar se jhaDa bhi hua hun main
rahta nahin hun bojh kisi par ziyaada der
kuchh qarz tha agar to ada bhi hua hun main
rakhne lage hain kuchh nazar-andaz bhi ye log
manzar se apne aap haTa bhi hua hun main
ek dur ke safar pe rawana bhi hun 'zafar'
sust-ul-wajud ghar mein paDa bhi hua hun main
Ghazal
Zinda bhi KHalq mein hun mara bhi hua hun main
Zafar Iqbal