zikr shabbir se nikal aaya
KHun tahrir se nikal aaya
hai gharibi ki fasl-e-gul ki samar
chhat ke shahtir se nikal aaya
raqs mein yun lage mujhe jaise
jism zanjir se nikal aaya
meri qismat to dekhiye sahab
KHwab tabir se nikal aaya
le ke apni kaman-o-tegh-o-sipar
saya-e-pir se nikal aaya
uzr-e-taKHrib-gar pas-e-parda
shauq-e-tamir se nikal aaya
meri tanhai banTne 'rahat'
aks taswir se nikal aaya
Ghazal
Zikr shabbir se nikal aaya
Rahat Sarhadi