zikr mera ba-badi bhi use manzur nahin
ghair ki baat bigaD jae to kuchh dur nahin
wada-e-sair-e-gulistan hai KHusha tale-e-shauq
muzhda-e-qatl muqaddar hai jo mazkur nahin
shahid-e-hasti-e-mutlaq ki kamar hai aalam
log kahte hain ki hai par hamein manzur nahin
qatra apna bhi haqiqat mein hai dariya lekin
hum ko taqlid-e-tunuk-zarfi-e-mansur nahin
hasrat ai zauq-e-KHarabi ki wo taqat na rahi
ishq-e-pur-arbada ki gun tan-e-ranjur nahin
main jo kahta hun ki hum lenge qayamat mein tumhein
kis raunat se wo kahte hain ki hum hur nahin
zulm kar zulm agar lutf daregh aata ho
tu taghaful mein kisi rang se mazur nahin
saf durdi-kash-e-paimana-e-jam hain hum log
wae wo baada ki afsharda-e-angur nahin
hun zuhuri ke muqabil mein KHifai 'ghaalib'
mere dawe pe ye hujjat hai ki mashhur nahin
Ghazal
Zikr mera ba-badi bhi use manzur nahin
Mirza Ghalib