zikr hota hai jahan bhi mere afsane ka
ek darwaza sa khulta hai kutub-KHane ka
ek sannaTa dabe-panw gaya ho jaise
dil se ek KHauf sa guzra hai bichhaD jaane ka
bulbula phir se chala pani mein ghote khane
na samajhne ka use waqt na samjhane ka
main ne alfaz to bijon ki tarah chhanT diye
aisa miTha tera andaz tha farmane ka
kis ko roke koi raste mein kahan baat kare
na to aane ki KHabar hai na pata jaane ka
Ghazal
Zikr hota hai jahan bhi mere afsane ka
Gulzar