zikr hum se be-talab ka kya talabgari ke din
tum hamein sochoge ek din KHud se be-zari ke din
munhamik masruf ek ek kaam nimTate hue
saf se raushan se ye chalne ki tayyari ke din
roz ek bujhti hui silan bhare kamre ki sham
khiDkiyon mein roz murjhate ye bimari ke din
nam nashili saaton ki sard zahrili si raat
KHwab hote ja rahe hon jaise bedari ke din
hafize ki sust-rau lahron mein halchal kya hui
jag uTThe dhaDkanon ki tez-raftari ke din
zehan ke sahra mein uThta ek bagula sa kabhi
gahe gahe kar-amad se ye bekari ke din
dam-ba-dam tahlil sa hota hua manzar ka bojh
sahl se hote hue palkon pe dushwari ke din
umr ke bazar ki had par nawadir ki dukan
kuchh parakhte dekhte chunte KHaridari ke din
rah gai kaghaz pe khinch kar lafz se aari lakir
'saz' shayad bhar gae hain ab mere qari ke din
Ghazal
Zikr humse be-talab ka kya talabgari ke din
Abdul Ahad Saaz