zikr-e-tufan bhi abas hai mutmain hai dil mera
naKHuda tum ho to phir dariya mera sahil mera
rahnuma-e-zindagi hai iztirab-e-dil mera
chal raha hai karwan manzil pas-e-manzil mera
qissa-e-mansur ho ya dastan-e-kohkan
jo fasana dekhiye ek bab hai shamil mera
mil raha hai zindagi ko aaj unwan sahi
munfail kyun ho nasib-e-dushmanan qatil mera
chand zarre KHak-e-adam se azal mein bach gae
fitrat-e-masum ne in se banaya dil mera
aafiyat hai meri fitrat ke munafi ai 'rashid'
warna aaya tha safina jaanib-e-sahil mera
Ghazal
Zikr-e-tufan bhi abas hai mutmain hai dil mera
Rashid Shahjahanpuri