zikr-e-nashat KHalwat-e-gham mein bura lage
tum bhi agar milo to mujhe hadisa lage
jab bhi kisi ki sai-e-karam ki hawa lage
mujh ko mera wajud bikharta hua lage
hun mujrim-e-hayat mujhe kyun bura lage
ye daur-e-zindagi jo musalsal saza lage
is daur ka nasib hai wo manzil-e-hayat
ahbab ka KHulus jahan saneha lage
haalat sans lete hain dahshat ki chhanw mein
mera zamir mujh hi se Darta hua lage
yun uTh gai hai dahr se apnaiyat ki ab
miliye jo KHud se bhi to koi dusra lage
is tarah raegan gai 'nazish' meri wafa
jaise kisi faqir ke dar par sada lage
Ghazal
Zikr-e-nashat KHalwat-e-gham mein bura lage
Nazish Partap Gadhi