zikr-e-jaanan kar jo tujh se ho sake
waiz ehsan kar jo tujh se ho sake
raaz-e-dil zahir na ho ai dud-e-ah
dagh pinhan kar jo tujh se ho sake
phunkta hai mujh ko ye soz-e-darun
chashm-e-giryan kar jo tujh se ho sake
ai masiha mujh ko hai aazar-e-ishq
mera darman kar jo tujh se ho sake
qais ko rota hun ai dasht-e-junun
fikr-e-daman kar jo tujh se ho sake
chup hai kyun o but KHuda ki waste
kuchh to hun-han kar jo tujh se ho sake
dil to us pe aaj sadqe ho gaya
tu bhi ai jaan kar jo tujh se ho sake
la mughal ki tegh-e-abru ka jawab
azm-e-safahan kar jo tujh se ho sake
raaz-poshi meri dud-e-ah ki
dud-e-qulyan kar jo tujh se ho sake
khet dikhla mujh ko ai shamshir-e-yar
kar-e-dahqan kar jo tujh se ho sake
KHirman-e-mah-e-daraKHshan ko uDa
kar-e-dahqan kar jo tujh se ho sake
ta-ba-kai yaad-e-ruKH-e-jaanan dila
hifz quran kar jo tujh se ho sake
wo pari meri musaKHKHar ho ye kaam
ai sulaiman kar jo tujh se ho sake
ek din diwar hi phadunga main
KHair darban kar jo tujh se ho sake
yun hi zahir ho shab-e-furqat ki subh
dagh pinhan kar jo tujh se ho sake
ai firangan KHana-e-viran mera
inglistan kar jo tujh se ho sake
kar mera ghar faiz-e-maqaddam se bahisht
mujh ko rizwan kar jo tujh se ho sake
jhiDkiyan di galiyan di dil dukha
ai meri jaan kar jo tujh se ho sake
naza mein to jae sharb-e-mai pila
saqi ehsan ki jo tujh se ho sake
tu hi turbat par meri chadar chaDha
mah-e-taban kar jo tujh se ho sake
ai dil-e-nalan kahan tak shor-o-ghul
zabt-e-afghan kar jo tujh se ho sake
'mehr' yun fikr-e-pareshan ta-ba-kai
jama diwan kar jo tujh se ho sake
Ghazal
Zikr-e-jaanan kar jo tujhse ho sake
Hatim Ali Mehr