zikr-e-ifa kuchh nahin wada hi wada hum se hai
raat din sham o sahar imroz farda hum se hai
hum na kahte the ki ye jaur-o-jafa achchhi nahin
puchh kuchh roz-e-jaza ab tum se hai ya hum se hai
dusron ke kahne sunne par na tum jao na hum
tum se bas kahna hamara hai tumhaara hum se hai
sharm-e-wasl-e-ghair se uThti nahin unchi nazar
dard-e-sar kaisa ye sab hila-bahana hum se hai
kaun si KHubi hai hum mein jis par nazan hon 'nasim'
jo zamane se bura hai wo bhi achchha hum se hai
Ghazal
Zikr-e-ifa kuchh nahin wada hi wada humse hai
Naseem Bharat Puri