zikr-e-bahaar bhi raha zikr-e-KHizan ke sath
teri bhi dastan hai meri dastan ke sath
un ka bhi kuchh KHayal rahe ahl-e-karwan
jo aa rahe hain gard-e-rah-e-karwan ke sath
us waqt rang laega afsana-e-wafa
dil ka lahu jab aaega ashk-e-rawan ke sath
har chiz ajnabi si hai har shaKHs ghair hai
duniya badal gai nigah-e-mehrban ke sath
'shaarib' ye jaanta hun ki duniya hai bewafa
chalna paDega phir bhi isi karwan ke sath

Ghazal
Zikr-e-bahaar bhi raha zikr-e-KHizan ke sath
Sharib Lakhnavi