zist kya hai himaqaton ke siwa
chand zalim sadaqaton ke siwa
hum ne danishwaron se kya sikha
uljhi uljhi ibaraton ke siwa
fan ko wirse mein kya diya hum ne
KHubsurat alamaton ke siwa
hum ne is zindagi se kya paya
chand zehni rafaqaton ke siwa
in baDi taqaton ke pas hai kya
chhoTi chhoTi raqabaton ke siwa
aastinon mein doston ki hai kya
pas-e-parda adawaton ke siwa
kya hai tahzib-e-maghribi ka nishan
unchi unchi imaraton ke siwa
ye siyasat ki garmi-e-raftar
kya hai mohmal bujhaaraton ke siwa
kya liya hum ne apne mazi se
nim-murda riwayaton ke siwa
apni manzil nahin koi shayad
jaan lewa masafaton ke siwa
apna sarmaya-e-hayat hai kya
rang-dar-rang saaton ke siwa
Ghazal
Zist kya hai himaqaton ke siwa
Rabia Fakhri