zist ki aagahi ka hasil hai
dard hi shairi ka hasil hai
hai KHirad bhi KHirad ke narghe mein
ishq KHud gumrahi ka hasil hai
zindagi ka sabaat hai is mein
ye jo aansu hansi ka hasil hai
yun tera pas se guzar jaana
umr ki be-ruKHi ka hasil hai
puchhti hai saba gulistan se
phul kyun tazgi ka hasil hai
luT leti hai qafile kaise
raat jab bandagi ka hasil hai
kab ye jaanega aadmi jaane
aadmi aadmi ka hasil hai
hai tarannum sada ke pardon mein
naghmagi bansuri ka hasil hai
soch ka samt rah nahin sakti
sher aawargi ka hasil hai
is qadar pas aa ke mat baiTho
qurb beganagi ka hasil hai
tu mere rat-jagon ki manzil hai
din ki diwangi ka hasil hai

Ghazal
Zist ki aagahi ka hasil hai
Nisar Turabi