اردو हिंदी
Zist ke aasar ruKHsat hain mohabbat dil mein hai | Shaahi Shayari
zist ke aasar ruKHsat hain mohabbat dil mein hai

Ghazal

Zist ke aasar ruKHsat hain mohabbat dil mein hai

Mani Jayasi

;

zist ke aasar ruKHsat hain mohabbat dil mein hai
karwan jata hai mir-e-karwan manzil mein hai

aao dam sine mein baqi hai na hasrat dil mein hai
ab to jo kuchh hai wo chashm-e-muntazar ke til mein hai

han azal se jo muqaddar hai wahi hoga magar
jazba-e-taid-e-qudrat sai-e-la-hasil mein hai

jaan-sitan hai husn kya husn-e-talab ki ehtiyaj
wo to zinat ke liye KHanjar kaf-e-qatil mein hai

jis ki manzil hai baqa wo jada-paima-e-fana
dil idhar naqis mein shamil hai udhar kaamil mein hai

tab-e-KHalwat kaun la sakta hai dil to miT chuka
kis qadar qatil tera jalwa bhari mahfil mein hai

tu jise chahe haqiqat kah jise chahe majaz
ek surat jo nazar mein hai wahi to dil mein hai

iltija naz-afrini ke liye hai warna sun
aarzu KHud us ki shahid hai ki jalwa dil mein hai

ye mata-e-zist bhi hoti hai 'mani' nazr-e-maut
ek nazar aankhon mein hai aur ek hasrat dil mein hai